Sunday, July 29, 2012

तुम परबत बनो मेरा... (Tum Parbat Bano Mera)

सब कहते हैं मुझसे , "तुम बड़े आवारा हो .... हवा  की  तरह"
मैं कहता हूँ , तुम परबत बनो मेरा और  दिशा  दो  मुझे ...

वास्ता  कुछ  भी  नहीं  कल  का  कल  से ,
वक़्त  को  है  मेरा  पर  मुझे  किसी  का  ख्याल  नहीं ....

माना  मेरी  बेबसी  की  इन्तहा  नहीं .

पर  मेरी  आजादी  की  भी  कोई  सरहद  नहीं ..


गुल-ओ-गुन्चो  में  गूँथ  जाऊं  ये  मेरी  नियत  नहीं .
काटों  में  उलझ  जाऊं  ये  मेरी  फितरत  नहीं ..


एक  मंजिल  हूँ , जो  छू  ले  हर  कोई ,
पर  पा  न  सके  कोई ,
और  पाए  जो  कोई  तो  चाहे  न  कोई ...

जल  जल  कर  सब  यूँ  ही  होता  दफ़न  अंतर-मन
मैं  फिर  भी  बहूँ , अनवरत ..अनवरत ..

मै  तुम्हारे पास  आके , टकरा  जाऊं  कुछ  यूँ 
के   बह  चलूँ  उस  ओर , जिधर  तुम  कहो ..
क्या  मिलोगे  तुम फिर  मुझे  यूँ  ही  जब  फिर  मै  बहूँ ...


हाँ  आवारा  ही  हूँ  मै, तुम  परबत  बनो  मेरा  और  दिशा  दो  मुझे .....................




-- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- -- oo -- 

Sab kahte hain mujhse, 'tum bade awara ho....hawa ko tarah'
Mai kahta hun, tum parbat bano mera aur disha do mujhe...


Waasta kuch bhi nahi kal ka kal se,
waqt ko hai mera par mujhe kisi ka khayal nahi....

Maana meri bebasi ki inteha nahi.
par meri azaadi ki bhi koi sarhad nahi..

Gul-o-guncho me guNth jaaun ye meri niyat nahi.
Kaaton me ulajh jaaun ye meri fitrat nahi..

Ek manjil huun, Jo chhu le har koi,
par paa na sake koi,
aur paaye jo koi to chaahe na koi...

Jal jal kar sab yun hi huaa dafan antar-man.
main fir bhi bahuN anwarat..anwarat..

Mai tumhare paas aake, takra jaaun kuch yun
k bah chalun us or, jidhar tum kaho..
Kya miloge tum fir mujhe yun hi jab fir mai bahuN...

Haan awara hi hun mai, tum parbat bano mera aur disha do mujhe......


Saturday, February 28, 2009

Sochta hun...........

Its a latest composition......

Sochta hun kabhi
tumhe ignore karun mai
par tum rahti ho yahin
har-pal, har-so, har-kahin…

Sochta hun kabhi
khwabon se nikal kar
jaag jaun mai
par ulajh jata hun yun hi
teri julfo me kahin...

Sochta hun tumhe
baahon me bharun mai
Par tum ghul jaati ho
yun hi Hawao me kahin…

Sochta hun kabhi
kuch aage bhi kahun mai
par tum kahti ho jaise
bakwaas band karo warna......... :D

Thursday, March 15, 2007

wo naam hamara lagta hai!




Expresses the feelings of someone who lost a close person in some war!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

is zameen ka khoon se rishta purana lagta hai
us mazaar pe naqsh naam hamaraa lagta hai.

bheeng-ti, sukh-ti, suj-ti hain palken..
in aankhon me ek khawab adhura lagta hai..

na khushiyaan haiN na eid-e-hilaal me wo raunak
itne rang kam huye ki shafaq bhi surkh sa lagta hai

wo bachpan ki baarish aur gali me kajaz ki kashti,
ab to hame ye shahar bhi naya naya sa lagta hai..

jaanisaar hua jis sarhad-e-diyaar pe woH
wo watan aaj kuch soya soya sa lagta hai

naqsh kar rakha hai jise apni ruh me humne
wo kehte hain ki ye naam purana lagta hai

is zameen ka khoon se rishta purana lagta hai
us mazaar pe naqsh naam hamaraa lagta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


MEANINGS:
** naqsh = Engraved ** eid-e-hilaal = Eid ka Chand ** shafaq = Rainbow **surkh = Red ** jaanisaar = Sacrifice ** diyaar = Country

Monday, February 19, 2007

BASAR KARTE HAIN ::::::: EK GHAZAL




fooloN me taaroN me, chand ke saaye meN basar karte hain!
shab-e-gham meN dil ko jala kar ham sahar karte hain!!


NishaN nahi hain zameeN pe meri awaargi ke lekin!
kabhi ham yanha sehra me bhi rahguzar karte hain!!


tumhe khwabon me dekha, tumhe sajda kiya!
ab to yahi kaam ham har pahar karte hain!!


dil-o-jaan to haiN mere aapke hi haathoN me!
ye ghazal bhi ham aapki najar karte hai!!


fooloN me taaroN me, chand ke saaye meN basar karte hain!
shab-e-gham meN dil ko jala kar ham sahar karte hain!!!!!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Thursday, June 01, 2006

TRIVENIS - 2

Sansaar

Di sabhi ko zindagi dahar-e-chaman sajane ke liye !
Par har zinda zindagi lene ko amada hai !

ye dekh khuda sansaar banane pe sharminda hai !!

**dahar = world

PARVAAZ

Meri parvaaz thi lambi aur aasmaN kam tha !
Hawaa thi tez aur dheel bhi poori thi !

Haqeeqatan, maiN jameeN ke rishtoN se kat chuka tha !!

KUCHH

rah jata hai KUCHH aankhoN me teri deed ke baad
baaki rah jaate haiN KUCHH armaan, tere jaane ke baad

mil jata hai ye sab KUCHH mujhe, tere aane ke baad

RAHAGUJAR

Is rahguzar me hum kitne magluub haiN!
Kehne ko to mere haathon me muqaddar hai!

Par ye sehraa me khinchi bebaak lakeere haiN!!


HAYAT

ek arsah-e-hayat ke baad nikla ye chand
ki sajda karne do..

phir chahe mita dena hayaat, ahista.. ahista

**was just listening to 'sarakti jaye hai' frm jagjit singh.. so tried to add sth.

SAA'EL

zindagi ke is mod pe bade aaziz haiN hum
ki sheeshe bhi poochhe haiN sawaal mujhse

saa'el bhi hum aur jawaabdeh bhi hum..

**aaziz = helpless
sheesha used as mirror
saa'el = questioner


KAANCH

kuchh kanch ki chudiya aur kanch se kache armaan
raahon ki soz roz azamaati haiN inhe..

par roz jati hai wo kandhe pe lekar apna samaan.

**samaan used as basta (books n accessories)....its dedicated to a little village school-girl.


COMPUTER

apni parvaaz ko tham lo
warna hang ho jaoge

computer nahi jo restart ho jaoge

Friday, May 19, 2006

TRIVENIS

KHALISH

Bardasht kar leta mai woh khalish !
Manjoor hota mujhe khuda ka ye faisla !

Agar tu sach men bewafa hota !!


KAHAAR

Hawa me bujhi aag ki bheeni bheeni khushboo..
aur geeli mitti pe USKE pairon ke nishan..

bayaan karte hain tere rukhsat hone ki daastan !!!


RANGEEN

Ek baar phir fiza rangen huyi
Dil ke darwaaze pe dastak si huyi...

Lagta hai dakiya phir gujar gaya mere dar se tera khat lekar !!!


SAINIK
Watan ki sarhad par
wo sahsi sainik ladta raha akhiri dam tak

uske lahu se sani dharti bhi roti hai apni bebasi par !!


DEEDAR

Tera deedar kar ke mai yun hi machal jata hun !
Tere husn ki aag men fateelah ki tarah jal jata hun !

Par tu hai ki pighalti hi nahin !!


JHILMILATI SHAAM

Jugnuon ke kheme men kuch jumbish huyi!
Lagta hai phir sham jhilmilane ko hai!

Aa teri zulfen suljha ke main phir se savera kar dun!!


LAMHA

Lamhon ke moti, koi sakht koi sahaj !
Sabko pirone ki koshish karta hun main !

Bas yun hi basar karta hun main !!


SHAB

Aa shab bhar dun mai teri ankhon me !
Aur thode jugnu jad dun teri bindi men !

Itifaqqan, kal kahin chand na nikal aye !!


HAZAAR RAAHEN

Har pal naya mod..
har mod se niklen hazaar raahen..

In raahon ko suljha lun to phir basar hogi...


UZR

Uski uzr-e-jafaa ne mujhe hairaan kar diya !
Sari khata mere naam aur wafa apne naam kar liya !

Meri akhiri haar pe bhi mujhe be-ikhtiyar kar diya !!


OVER-CONFIDENCE

Hazaar raahon ko jeetne ki tamanna lekar !
Main chala tha kshitij ko paane !

Jab kayamat ayi to paya, na jameen meri, na aasman mera !!


LAHAASIL

Kuch lahaasil majilon ko pane ki chah ne mujhe deewana kar diya !
Gairon ko apna, apno ko begana kar diya !!

Aur aaj ashk-e-nadaamat ke daur men koi nahi mera !!!


KABR

Wahi purana ghaleez kafan !
Aur kirm khurdah ye badan !

Ab to kabr bhi paak nahi hai !!