
Expresses the feelings of someone who lost a close person in some war!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
is zameen ka khoon se rishta purana lagta hai
us mazaar pe naqsh naam hamaraa lagta hai.
bheeng-ti, sukh-ti, suj-ti hain palken..
in aankhon me ek khawab adhura lagta hai..
na khushiyaan haiN na eid-e-hilaal me wo raunak
itne rang kam huye ki shafaq bhi surkh sa lagta hai
wo bachpan ki baarish aur gali me kajaz ki kashti,
ab to hame ye shahar bhi naya naya sa lagta hai..
jaanisaar hua jis sarhad-e-diyaar pe woH
wo watan aaj kuch soya soya sa lagta hai
naqsh kar rakha hai jise apni ruh me humne
wo kehte hain ki ye naam purana lagta hai
is zameen ka khoon se rishta purana lagta hai
us mazaar pe naqsh naam hamaraa lagta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
MEANINGS:
** naqsh = Engraved ** eid-e-hilaal = Eid ka Chand ** shafaq = Rainbow **surkh = Red ** jaanisaar = Sacrifice ** diyaar = Country
1 comment:
Post a Comment