
fooloN me taaroN me, chand ke saaye meN basar karte hain!
shab-e-gham meN dil ko jala kar ham sahar karte hain!!
NishaN nahi hain zameeN pe meri awaargi ke lekin!
kabhi ham yanha sehra me bhi rahguzar karte hain!!
tumhe khwabon me dekha, tumhe sajda kiya!
ab to yahi kaam ham har pahar karte hain!!
dil-o-jaan to haiN mere aapke hi haathoN me!
ye ghazal bhi ham aapki najar karte hai!!
fooloN me taaroN me, chand ke saaye meN basar karte hain!
shab-e-gham meN dil ko jala kar ham sahar karte hain!!!!!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
3 comments:
wah wah wah
wah waah.....wah waaaaaah......wah waaaaaaaaaaaaah.......
Keep it up dude...!
wah, kya baat hai shayar sahab! ager is gazal mein 'hawaon' ka bhi kahi zikr hota, to aur khoobsurat lagti ye.
Post a Comment