Thursday, March 15, 2007

wo naam hamara lagta hai!




Expresses the feelings of someone who lost a close person in some war!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

is zameen ka khoon se rishta purana lagta hai
us mazaar pe naqsh naam hamaraa lagta hai.

bheeng-ti, sukh-ti, suj-ti hain palken..
in aankhon me ek khawab adhura lagta hai..

na khushiyaan haiN na eid-e-hilaal me wo raunak
itne rang kam huye ki shafaq bhi surkh sa lagta hai

wo bachpan ki baarish aur gali me kajaz ki kashti,
ab to hame ye shahar bhi naya naya sa lagta hai..

jaanisaar hua jis sarhad-e-diyaar pe woH
wo watan aaj kuch soya soya sa lagta hai

naqsh kar rakha hai jise apni ruh me humne
wo kehte hain ki ye naam purana lagta hai

is zameen ka khoon se rishta purana lagta hai
us mazaar pe naqsh naam hamaraa lagta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


MEANINGS:
** naqsh = Engraved ** eid-e-hilaal = Eid ka Chand ** shafaq = Rainbow **surkh = Red ** jaanisaar = Sacrifice ** diyaar = Country

Monday, February 19, 2007

BASAR KARTE HAIN ::::::: EK GHAZAL




fooloN me taaroN me, chand ke saaye meN basar karte hain!
shab-e-gham meN dil ko jala kar ham sahar karte hain!!


NishaN nahi hain zameeN pe meri awaargi ke lekin!
kabhi ham yanha sehra me bhi rahguzar karte hain!!


tumhe khwabon me dekha, tumhe sajda kiya!
ab to yahi kaam ham har pahar karte hain!!


dil-o-jaan to haiN mere aapke hi haathoN me!
ye ghazal bhi ham aapki najar karte hai!!


fooloN me taaroN me, chand ke saaye meN basar karte hain!
shab-e-gham meN dil ko jala kar ham sahar karte hain!!!!!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~